Sunday, 5 February 2012

Ek nai rachna

0




Dil main ye jo dard hain mere
Mohabat main mile ye Zakham gahre
Dil ne kee thee jiski bari paayar se chaha
Thoad kar dil mera, mukh se na nikli unki aah
Har dil ke tukre tukre main naam tera hee milega
aghar uske bhee tukre kar do usmain bhee wahi dikega
Kam na ye mohabat tumain kaheen milegi
Merei har ek raah main teri hee chaha dekhegi
Mohabat main ho agar aur kohi mukaam
Who bhee choon loonga
De sako aur bhee agar gum
To usko bhee le loonga
Dard ka ye jo dil main hain tufaan
Na iski kohi manzil na hain kohi mukaam
Agar hain main hain khuch to
Wo bhee ek tera hee naam
Muje wo sab saharash swikaar hain
Jo khuch bhee mila aapke paayar main
Bhale issne kiya muje barbaad hain
Lekin usmain bhee aapki yaad to hain

I Hate You…

0




Ruth gya hai mujhko manane waala
Ab koi nahi naaz mera uthaane wala
Per jaane kya sonchta hai
Yeh khula darwaaza
Shayad rasta bhool gaya, aaane waaala
Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi..
Hate You…

Kaash hum tum ajnabi hote !

0




Kaash hum tum ajnabi hote,
Jis tarhan log hua karte hein…
Be taAlluq sey, be taArruff sey.
Kaash hum tum ajnabi hote!
Be qaraari na be kali hoti,
Na mukammal, na Zindagi hoti…
Yun na hoti azyatein Dil mein.
Zindagi bhi na hoti mushkil mein!
Aansu’on se na dosti karte,
Apne Dil se na dushmani karte…
Doosr’on ki tarha hum bhi khush rehte,
Kaash hum tum ajnabi hote…!!!

Yeh Saal Acha Hay.!

0




Aaoo is saal mohabbat ki
Kasam khayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Zindagi bhar k liye
Hum tere ho jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Teri sansoon ki mehak
Mere sanson main base
Rang chahat ka sanam
Mere hathon main rache
Kyun na ek roup main do
Roup yeh dhal jayeen sanam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Ab na bichren ge kabhi
Dil se dil ase mileen
Aarzuon k kanwal
Aaj kuch ase khileen
Nikhra nikhra sa nazar
Ane laga hay mousam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay
Gungunati hay faza
Jhuum uthi bad_e_saba
Pyar k jaam liye
Aa gayi kali ghataa
Jaam ulfat k piyeen aur
Bahak jayeen qadam
Ek najumi ne kaha hay k
Yeh saal acha hay

Kuch Loog…

0




Kuch loog ruth kar bhi
Lagte hain kitne pyare
Chup rah k bhi nazar main
Hain pyar k isharee
Hum un pe berukhi ka
Ilzaam kyun lagayeen
Un ki jafa ka aye dil
Hum kyun bura manayeen
Jo chayeen ab kareen woh
Dil pe sitam hamare
Is dil main kaise kaise
Tufaan machal rahe hain
Apni hi aag main hum
Chup chaap jal rahe hain
Hain kitne khubsurat
Is aag k shararee

Main Waqt hun Tareeq ke Matha pe Likha hun…

0




Koun si Manzil Hai Kahan Aa ke Ruka hun,
Har ek se Khud Apna Pata Pooch Raha Hun,
Phoonkoun se Mitta hun na Mittane se Mitta hun,
Main Waqt hun Tareeq ke Mathy pe Likha hun ”
Aaye hain Wohi mere Ghar ko Aag lagane,
Main Jinke Chiraagoun mein Lahoo ban ke Jala hun.
Zindagi Zakhmoun se Bhari hai ,
Waqt ko Marham banana Seekh lo,
Harna to hai Mout ke saamne ,
Filhaal Zindagi se Jeetna Seekh lo,
Na jane kis ki Duwaoun ka Faiz hai Mujh Par,
Main Doobta hun aur Dariya Uuchaal deta hai.

kuch bi nahi…

0




koi zakham nahi, na koi dard hai
bass eik khamoshi see iss dil mein hai
kuch diya bi nahi, tho kuch koya bhi nahi
bass eik adhoorapan iss dil mein hai
na kuch kehnay ko hai na sune ko
sawal bi mann may nahi, karne ko
bhulana ko kya, koi yaad bi nahi
bass eik baychani si iss dil mein hai kahi
chaand say kya kahu, koi andhera bi nahi
na din ki talaash hai, na roshni ki kami
gham, udaasi, koi Aansoo bi nahi
pir iss dil ko kiss cheez ki hai kami?